Husn-e-Gohar

Chand mein dekha hai

Chand mein dekha hai jalwa tumhara,
Jalwon ki esi ada,
Saaray jahan ko dewana kiya hai 
Saaray jahan se juda
Kehta hai ho ke dil ye dewana
Aa mere Gohar piya

Palkon se phoolon ko chun kar Tere rastay sajatay hain hum
Dharkanon ko bichha kar Gohar, Tum ko bulatay hain hum
Peish hai rouh ka nazrana, Aa mere Gohar piya

Chand mein dekha hai jalwa tumhara,
Jalwon ki esi ada,
Saaray jahan ko dewana kiya hai 
Saaray jahan se juda
Kehta hai ho ke dil ye dewana
Aa mere Gohar piya

Gohar-prasti aqeeda mera, yehi mera deen hai
Kab se tera muntazir YaGohar, ye tera Yaseen hai
Tera kalima parhay ye dewana, Aa mere Gohar piya

Chand mein dekha hai jalwa tumhara,
Jalwon ki esi ada,
Saaray jahan ko dewana kiya hai 
Saaray jahan se juda
Kehta hai ho ke dil ye dewana
Aa mere Gohar piya