Husn-e-Gohar

Chand mein hai tu jalwa numa

(Faded Voice: Gohar [rep.])
Chand mein hai Tu jalwa numa
Aks Tera hai dil mein nihaan
Teri aamad ki main muntazir
Ye zameen aur aasmaan

Gohar, Mere Gohar (rep.)
Hai muntazir dil dewana
Gohar, aao na
Gohar, meri jaan (rep.)

Dilnashien, dilnashien hain Gohar
Kon tum sa haseen hai Gohar
Gohar, Mere Gohar (rep.)
Hai Muntazir ye zamana

Gohar, Mere Gohar (rep.)
Hai mast mausam suhana
Gohar, Aao na,
Gohar, Meri Jaan (rep.)

Tere qadmon mein saara jahaan
Har jahaan mein teri dastaan
Ab to maanay hi maanay jahaan
Aye Gohar, tu Imam-e-Zamaan

Gohar, Mere Gohar (rep.)
Har lab pe tera fasana

Gohar, Gohar...