Husn-e-Gohar

Tujh se Roshan hain Gohar

Tujh se roshan hain Gohar, 
Qalb-o-nazar, shams-o-qamar,
Aye mere piyaray Gohar (rep.)

Teri aankhen, teri palken, tere abroo Gohar
Tera chalna, tera hasna, teri khushbu Gohar
Yaad jab aaye to thamtay nahen aansoo Gohar
Ab to aa ja ke Tujhe dhoondon har soo Gohar
Aye mere piyaray Gohar (rep.)

Tujh se roshan hain Gohar, 
Qalb-o-nazar, shams-o-qamar,
Aye mere piyaray Gohar (rep.)

Teri zulfon ke taqadus ki qassam khayen hum
Tere chehray ki tilawat se hi bandh jayen hum
Dil se dharkan ki jagah aur sada Ya Gohar,
Riaz hai noor mein, honton pe hai Gohar, Gohar
Aye mere piyaray Gohar (rep.)

Tujh se roshan hain Gohar, 
Qalb-o-nazar, shams-o-qamar,
Aye mere piyaray Gohar (rep.)

Kon hai jo Tere qadmon mein nahen hai Gohar
Har haseen se bhi haseen-tar hai, haseen hai Gohar
Tere jesa koi lajpal nahen hai Gohar
Tu hi Yaseen ka Malik hai, Tu hi hai Gohar
Aye mere piyaray Gohar (rep.)

Tujh se roshan hain Gohar, 
Qalb-o-nazar, shams-o-qamar,
Aye mere piyaray Gohar (rep.)